E SAHULAT SCHEME DAO PAY LAG CHUKEE HAI !!!!!

Tuesday, May 11, 20102Comments

E SAHULAT SCHEME DAO PAY LAG CHUKEE HAI !!!!!
NADRA WADA KHILAFI KE TAWEEL LIST HAI ...........

Dear Ashfaq Sikandar,
1 ap he nahi jis ko esahulat scheme ka wajood danger dikh raha hai. Nadra ke wada khilafi ke detail list hai, jis nay sub Franchisees ko pareshan kar rakha hai.
Bhai, mujhe ap say dili hamdardi hai, lakin jo wada wafa nadra 02 years may na kar saka us say aur kya wafa ke Umeed ? Apni Mistakes ke punishment Franchisees ko day kar wo sumujh tay hain kay ALL IS WELL !!!!
But there is still darkness. Morning ke umeed Real Suraj say hoti hai jo Allah kay kanoon ke pabandi karta hai, yahan tau jo APNA QUANOON KHUD BANA KE KHUD VIOLATE KARAY US SAY KYA UMEED ??????????????
1 Franchisee ke mojud gee may dosra bulkay teesra outlet.
1 say 2 Kilometer ke hudd nazar andaz, ab tau suna hai sirf 300 meter kay fasle pay Franchise Permission. Pehlay say maujood outlet kay OBJECTION overrule.
Duplicate CNIC Card ke issuance ab tak franchisee ko na de ja saki.
Thumb Scanner ka aj 2 saal baad bhi kuch pata nahi.
New Customer Enrollment aj tak start he na ke ja saki.
Franchise kay awal rules may kahin ANNUAL RENEWAL KA TAZKIRA TAK NA THA.
Annual Renewal Fees Rs.2,000/= including HBL LFT Charges Rs.350/= ke Febuary 2009 ko Agreement may shamil honay ka inkashaf aur us ke February 2010 may jabrun wasooli warna Application Block ke warning.
18 January, 2010 ka PHQ Sindh ka S.O.P. jis kay para 3 may 1500 billing transactions per month ke hudd jis ka pehlay kahin tazkira tak na tha.
Railway e Ticketing aur deegar NEW PRODUCTS siwaey CDGK KARACHI aur FWASA, AAJ TAK KUCH PATA NA KOI AASRA.
2 SAAL SAY V-PTCL CALLING CARDS, ARY TELECOM CARDS AUR CALLMATE CALLING CARDS KABHI UPLOAD HE NAHI KEYE, AJ TAK ZERO STOCK.
2 SAAL SAY KOI INTERNET CARD SYSTEM MAY HE NAHI AYA, SALE PER 10% PROFIT TAU DUUR KE BAAT HAI.
KIOSK REPORTING PER PEHLAY SAY MAUJOOD TECHNICAL FACILITIES AAHISTA AAHISTA CHANGE KAR DEE, JABKE TRANSACTION, RECHARGE, COMMISSION REPORT AJ TAK TROUBLESOME AUR AKSAR KAAM KE TIME UN-AVAILABLE.
Bhai, kya kya bayan karoon, kaha tha na long list hai NADRA VIOLATIONS KE.........
1 Franchisee ka monthly expected expense:
Shop Rent ------ Rs.7,000/=
Shop Advance ------ Rs.1,00,000/=
Computer P 4 ------ Rs.30,000/=
Printer Dot / Laser -- Rs.8,000/=
Bar Code Reader ------ Rs.15,000/=
Scanner/Digital Camera -- Rs.12,000/=
Licence Fees (KARACHI)- Rs.20,000/=
Licence Fees (Other City)-Rs.1,00,000/=
Renewal Fees Annual ---- Rs.2,350/=
Broadband Net Charges-- Rs.1,400/=
Electricity Commercial-- Rs.5,000/=
2 Operator (MUST 4 12hrs)-Rs.16,000/=
Trade Tax City Govt.---- Rs.100/=
Is sub kay elawa Advertisement Tax, Income Tax, Insurance Policy, Security Guards, Office/Shop ka koi staff, Computer aur Shop ke Maintenance, etc. etc. etc.
KYA KABHI KISI FRANCHISEE NAY GHORR KYA ? KYA EVERY MONTH US KA KIOSK EXPENSE NIKAL RAHA HAI ? KYA KIOSK PAY 10 SAY 12 DIN BILL PAYMENT KAY ELAVA KOI KAAM HOTA HAI ?
NADRA KA HAI KAAM DOOSROON KO NASIHAT, KHUD RA FAZIHAT........ PEHLAY APNI AANKH KA SHEHTEER DEKHAY PHIR DOOSRO KE AANKH KA TINKA...
SYSTEM TAU KYA BACHAY GA, KIOSK (atm) MACHINE KE TARHA ESAHULAT BHI FRANCHISEE KE COST PAY KISSA E PARINA HO JAE GA. DEKH LAINA.. KEHTA HOO SUCH..... BAY SHAK BURA LAGAY **************

Syed Mazhar Hussain Shah
Kiosk ID # 61420
KHE -334, Gazdarabad,
Karachi - 74200.
Email rmh_highschool@yahoo.com &
nadrakiosk_khe334@yahoo.com
Cell # 0300 9297262 & 0342 2996910
Office 021 32760727
Skype syed.mazhar.hussain.shah
Share this article :

+ Comments + 2 Comments

May 11, 2010 at 1:00 PM

Shah Sb. bhoont khoob..............

aap nay tamam fatanchise khas kar sr. faranchise jo 2 saal say nadra kay saath kam kar rahay hain un kay dil ki baat ki hay. agar ho sakay to yeh comments nadra kay email address par bhi bejh dain. takay baad main yeh to na keh sakian kay hamay pata nai chala aur pani sar say bhi oper ho gia.

bahi agar aap kay city main 300M par faranchise di jarhi hay to aap lucky hoo mari shop say sirf 20 qadam ( 4 shops) kay faslay par faranchise di gai hay. aor 1 km main 7 faranchise chal rahi hay. ( Fateh Jang Distt. Attock) aor mazeed aa rahi hain is say to yeh hi pata chalta hay kay nadra ka irada yeh hay kay 2012 tak bill jama karnay walay ziada hongay aor jama karanay walay kam hongay.

any how aaap nay jo points out kiay hain wo sab kay hay. aor in ko solve karny kay liay kuch na kia gia to Nadra e sahulat ka Allah hi hafiz hay. lakin ham yeh hargiz nahi chahtay kyoon kay jo mehnat ham logo nay ki hy aor awam main jo trust devolp kia hay to hi aaj Telenor aur UBL ki yeh jurat pada hui hay kay wo awam main aa rahay haiy. is ka sara credit to nadra faranchise ko hi jata hay. ab yeh alag baat hay kay nadra authorites khud faida nahi utha rahi agar nadra yeh saray kaam dianat dari say shuroo kay day to yaqeen maniay koi bhi company nadra faranchise ka muqabla nai kar sakti.

nadra waloo khudara aqal kay nakhun loo jo taqat tumaray pas hay ( faranchise) wo dosray logo kay paas nai hay kyoon kay e sahulat faranchise awam main apna aik maqam aur trust develop kar chukay hy joabkay dosray logon ko kaafi time lagay ga lakin agar yahi nadra faranchise dishaert ho kay dosri companies kay liay kaam karay ga to us ka apna to faida ho ga us soorat main nuqsan sirf or sirf nadra ka ho ga.



Akhlaq Ahmad 03009713047
Fateh Jang Attock

Anonymous
May 11, 2010 at 7:10 PM

wall com UBL OMNI nadra ka tamam faranchizi bohat tazi sa ubl omni ke taraf ja raha han jun-2010 ma nadra wallon ko salary bhe nahe malage nadra walon sa guzarash ha ka wo hamara faranchizon par jop ka laya cv bhaj dan kun ka ubl omni ka ana sa farnchizon par kam barh jay ga ya phar nadra wala mango ka kam shuro kar looooooooooooooooo .

Post a Comment

 
Support : Creating Website | Johny Template | Mas Template
Copyright © 2011. Nadra e-Sahulat - All Rights Reserved
Template Created by Creating Website Published by Mas Template
Proudly powered by Blogger