BANK ALFALAH K SATH AGREEMENT WALI OLD NEWS HAI.
MERE BHAIO NADRA KA NEW PRODUCTS LAUNCH KRNAY KA KOI PROGRAM NAHI HAI
CHAIRMAN NADRA ALI ARSHAD HAKEEM KA BAYAN PARRHO USS MEIN SIRF CARDS KI BAAT KI HAI INNKA KISI NADRA BRANCHLESS BANKING KA PROGRAM NAHI HAI. YE CHOR HEIN APNI CHORI CHHUPATAY HEIN. BANK ALFALAH SE AGREEMENT CONFIRM HOTA TU CONFERENCE MEIN YE BAAT ZAROR KI JATI.
TAMEER BANK EASYPAISA & UBL OMNI KI BRANCHLESS BANKING KI ZABRDAST PLANNING HAI.
NADRA KA 2-3 BANKS YA TELECOM OPERATORS KO AGENT SERVICES PROVIDE KRNAY KA PROGRAM HAI. ABHI TAK BANK ALFALAH KI NEWS LAGI HAI CONFIRM NAHI HOWA K NADRA KUCHH KRAY GA BHI YA NAHI. BANK ALFALAH KO BHI ABHI TAK STATE BANK SE BRANCHLESS OPERATIONS START KRNAY KI PERMISSION NAHI MILI.
TELECOM OPERATORS MEIN MOBILINK & UFONE KA NADRA K SATH FURTHER BUSINESS KRNAY KA PROGRAM HAI LEKIN ISS KAM MEIN ABHI BOHT TIME LAGAY GA. HOSAKTA HAI TAB TAK COMPANIES YA STATE BANK GOVERNMENT POLICY MEIN KOI CHANGES AAJAYE.
NADRA KO CHAHIYE K TELENOR KI TARHA MICROFINANCE BANK K LIYE KOSHISH KRAY. AGAR YE TAMEER BANK NA HOTA TU TELENOR COMPANY KABKI WAPAS NORWAY PUHANCH CHUKI HOTI. NADRA THORRI SI KOSHISH KRAY TOU EASYPAISA/OMNI KO FAIL KRNA KOI MUSHKIL NAHI HAI.
JISS TARHA NADRA NE UTILITY BILLS PAYMENTS K BUSINESS MEIN AA KR BAHADURI DEKHAI HAI, MONEY TRANSFER SYSTEM MEIN FRANCHISEE KO SUPPORT KRAY TU SARI PROBLEMS SOLVE HOJAYEIN GI.
MERE BHAIO NADRA KA NEW PRODUCTS LAUNCH KRNAY KA KOI PROGRAM NAHI HAI
CHAIRMAN NADRA ALI ARSHAD HAKEEM KA BAYAN PARRHO USS MEIN SIRF CARDS KI BAAT KI HAI INNKA KISI NADRA BRANCHLESS BANKING KA PROGRAM NAHI HAI. YE CHOR HEIN APNI CHORI CHHUPATAY HEIN. BANK ALFALAH SE AGREEMENT CONFIRM HOTA TU CONFERENCE MEIN YE BAAT ZAROR KI JATI.
TAMEER BANK EASYPAISA & UBL OMNI KI BRANCHLESS BANKING KI ZABRDAST PLANNING HAI.
NADRA KA 2-3 BANKS YA TELECOM OPERATORS KO AGENT SERVICES PROVIDE KRNAY KA PROGRAM HAI. ABHI TAK BANK ALFALAH KI NEWS LAGI HAI CONFIRM NAHI HOWA K NADRA KUCHH KRAY GA BHI YA NAHI. BANK ALFALAH KO BHI ABHI TAK STATE BANK SE BRANCHLESS OPERATIONS START KRNAY KI PERMISSION NAHI MILI.
TELECOM OPERATORS MEIN MOBILINK & UFONE KA NADRA K SATH FURTHER BUSINESS KRNAY KA PROGRAM HAI LEKIN ISS KAM MEIN ABHI BOHT TIME LAGAY GA. HOSAKTA HAI TAB TAK COMPANIES YA STATE BANK GOVERNMENT POLICY MEIN KOI CHANGES AAJAYE.
NADRA KO CHAHIYE K TELENOR KI TARHA MICROFINANCE BANK K LIYE KOSHISH KRAY. AGAR YE TAMEER BANK NA HOTA TU TELENOR COMPANY KABKI WAPAS NORWAY PUHANCH CHUKI HOTI. NADRA THORRI SI KOSHISH KRAY TOU EASYPAISA/OMNI KO FAIL KRNA KOI MUSHKIL NAHI HAI.
JISS TARHA NADRA NE UTILITY BILLS PAYMENTS K BUSINESS MEIN AA KR BAHADURI DEKHAI HAI, MONEY TRANSFER SYSTEM MEIN FRANCHISEE KO SUPPORT KRAY TU SARI PROBLEMS SOLVE HOJAYEIN GI.
- ALL PAKISTAN FRNACHISEES K CONTACT DETAILS KI BOOK PUBLISH KI JAYE & ESAHULAT WEB PER FRANCHISEE LOCATOR HONA CHAHIYE.
- MONEY TRANSFER SYSTEM MEIN KUCHH CHANGES LAAYE JAYEIN TA'K SYSTEM KO PUBLIC K LIYE BHI USE KEYA JA SAKAY.
- ALL PAKISTAN NTL/PSD COMPLIANCE EXECUTIVES KI CONTACT DETAILS PUBLISH KI JAYEIN. AUR UNHEIN MONEY TRANSFER SYSTEM KO SUPPORT KRNAY K ORDER BHI HO.
- ALL TRANSACTIONS MEIN MOBILE FONE NUMBER KI OPTION HO K CUSTOMER CHAHAY TU SMS K ZARIYE INFORM KEYA JA SAKAY.
- ESAHULAT WEB PER CMS SYSTEM K ZARIYE TRANSACTION REVERSAL K LIYE AUTOMATIC SYSTEM HONA CHAHIYE TA'K GHALATI SE KI GAYE TRANSACTIONS KI FORAN & WITHOUT CHARGES REVERSAL HOJAYE.
+ Comments + 12 Comments
bhai aap kab ki baat kar rahe hain.nadra wale bahut jald pension aur money transfer ka kaam shuru kane lage hain.kyun ke aap koto maloom ho ga ke nadra ke numainde survey kar rahe hain.woh an qareeb pehle yeh kaam hota tha ke nadra kaam nahi karta tha lekin ab nadra is taraf kaam kar raha hai.kyun ke mere pass nadra ka numainda aaya tha.us pass nadra ke form the.jis ko maine khud fill kiya hai.woh anqareeb pension aur money transfer agle 2 mahino main launch kar dain ge.yeh mujhe nadra ka numaida bata raha tha.
NADRA NE BRANCHLESS BANKING SUPER AGENT SERVICES K LIYE BANKS SE FEES WASOOL KARNA THI. JISS TARHA FRANCHISEES SE LICENS FEE WASOOL KR K INNKO PHANSAYA HAI USSI TARHA BANKS & TELCOS KO BHI PHANSANAY KI KOSHISH. KYA SAB LOG ESAHULAT FRANCHISIO KI TARHA BEWAQOOF HEIN?
SHURU DIN SE NADRA KI POLICY YEHI HAI K BUSINESS CHALAY YA NA CHALAY APNA MUNAFA PEHLAY DIN HI WASOOL KR LO.
AGAR NADRA KI POLICY ACHHI HOTEIN TOU RECENTLY DUBAI BANK KO BRANCHLESS OPERATIONS START KRNAY KA LICENS MILA HAI WO ZAROOR NADRA K SATH PARTNERSHIP KRTAY. MAGAR NADRA KO PAISA KAMANAY KI FIKAR HAI CHAHAY MULK KA QANOON TOOTAY YA KOI AUR PROBLEM HOJAYE. APNA AUR FRANCHISEE KA BUSINESS DEVELOP KRNAY SE INNKA KOI MATLAB NAHI HAI.
TUM TU DOOBO GAY SANAM HMKO BHI LAY DOOBO GAY
AADIL BHAI, NADRA K NUMAINDA AAPKO MAZEED BEWAQOOF BANANAY AAYA THA..
SAB JHOOT HAI JO HM 3 YEARS SE SUNTAY AAYE HEIN.
bhai mujh ko 18 mahine ho gay hain nadra e sahulat liye hue.aur jab se main ne nadra li hai us din se har mahine mere pass nadra ka numaida aata tha.abhi dekhain ke unhon ne franchise se franchise money transfer launch kar di hai.an qareeb woh pension aur money transfer ka software tiyar kar rahe hain.aap mujhe yeh bataien ke kya aap ke pass nadra ka numainda nahi aaya.is silsale main.aur aap baat kar rahe hain paiso ki agar nadra new products launch kare ga to is se franchisee ko hi nahi balke nadra walon ko bhi faida ho ga.for example nadra ne yeh jo money transfer franchse se franchise shuru ki hai is main agar aap money transfer karte hain to aadha commision nadra walon ko aur aadha comission franchsee ko milta hai.agar mujh par yaqeen na aay to nadra walon yeh jo nay software ke saath guide book di hai us ko ghor se parho aur us ke aakhri 2 pages dekho.ke us par kitna commission aap ko mila hai aur kitna nadra walon ko.
AADIL BHAI AAPKO KUCHH EXPERIENCE NAHI HAI. TALEEM KI KMI HAI.
NADRA FRANCHISEE MONEY TRANSFER MEIN FRANCHISEE SE JO COMMISSION DEDUCT HOTA HAI WO WAPSI USSI FRANCHISEE KI ID MEIN JAMA HOJATA HAI.
FRANCHISEE MONEY TRANSFER MEIN NADRA KOI COMMISSION NAHI LETA NA HI FRANCHISEE KO KUCHH COMMISSION PAY KRNA PARRTA HAI.
BRANCHLESS BANKING START KRNA BHI KOI AASAN KAAM NAHI HAI. AGAR NADRA FRONT PER AA KR KHUD BRANCHLESS BANKING START KRTA HAI TU GOVERNEMENT KO SAARA AGLA PICHHLA HISAAB PAY KRNA PARRAY GA. FBR SE PANGA TU HAI HI.
NADRA ISSI WAJA SE BANKS YA TELCOS K SATH AS A BACK END SUPER AGENT KAM KRNA CHAHTA HAI. AND USSKA MUNAFA ADVANCE MEIN BUSINESS START HONAY SE PEHLAY HI LENA CHAHTA HAI.
bhai aap mujhe yeh batayen ke kya aap ke pass nadra ka numainda nahi aaya.agar main jhoot bol raha hon.
Adil bhai numainda to sab kay pass aata hai lakein jo ap khawab dakha rahay hain on kay leya nahein balkay wo is leya aata hai kay kahein ap kam galat to nahein kar rahay wo ap kay baray main information akathe karta hai wo ap kay alkay main ja kar pochta hai kay iss franchise ke koi sakayat to nahein hai bill lag kar to nahien aatay numainda to sab ko ye be kahta hai kay master franchise banay jain gay jo new product ko sab say pahlay istamal karain gain os kay baad dosray franchise ko wo sahulat de jay ge lakein abi tak aasa nahein howa main 3 saal say franchise chala raha hoon our tab say main new products our commision kay barnay kay baray main sun raha hoon lakein amal hota nahein dakh raha.
bhai aisa kuch nahien hai.nadra ke numainde mere pass aate hain lekin unhon ne mujh se kabhi yeh nahi poocha ke aap ke kitne bill jama hote hain.aap ne achive kiya hai ya nahien.woh is baat ka zikar hi nahie karte.un ko kya zaroorat hai ke itna karaya laga kar doosre sehar jaate hain.aur baaqi rahi baat aap ko 3 saal ho gay hain ndara e sahulat liye.to us waqat na to easy paisa tha aur na hi ubl omni aur na hi u shop.ab is cheez ka competetion hai.ab nadra waale kuch na kuch zaroor launch karein ge.aap khud daikh lain.ke aap ko 3 saal ho gay hain nadra ne new products in 3 saalon main launch nahi ki.lekin jab se competition bar gya hai nadra ne franchse se franchse money transfer shru kar di hai.main to nadra walon ko nahien kaha ke aap yeh product launch karein.aap bas dakhiye ke nadra is taraf deahaan de raha hai.woh jald hi koi new products launch kare ga.kyun ke agar doosri companiese ne new products launch kar di to nadra walon ko koi pooche ga bhi nahi.is se nadra walon ko nuqsaan ho ga.us ko apna aitamaad banaane ke liya is taraf kuch dehaan dena ho ga.
NADRA KO KAMAYE K LIYE CHOR RAASTA CHAHIYE JO ABHI TAK UNHEIN NAHI MIL RHA HAI. AGAR WO ZABARDASTI BANKING SYSTEM MEIN AAJATAY HEIN TU ENHEIN AGLA PICHHLA HISAAB DAINA PARRAY GA.
HAAN ISS WAQT AIK RAASTA HAI AGR NADRA APNA MICROFINANCE BANKING LICENS ISSUE KRWA LAY PHIR USSI PR BRANCHLESS BANKING START KR DAY.
YE HO SAKTA HAI K NADRA RICH FRANCHISEES SE 5-5 LAKH DEPOSIT/FEE IKATTHA KRAY AUR BANK START KRDAY.
LEKIN AB FRANCHISEE BHI HADSE ZIADA BEWAQOOF NAHI AUR NADRA ITNA BARRA PROJECT START NAHI KRAY GA
chhoro is jhagry ko yeh batao k UMRA Sakeem ma KON KHUSHNASEEB umra ker aaya hy kion k phir August aany wala hy ???????????????????
ye koi jhagra nahi exchange of information hai.
boht baatein aysi hein k franchisee ko maloom nahi..
umrah sakeem mein aapka naam hi ho sakta hai
Post a Comment